Thursday, February 26, 2009

Jab jab teri yaad aayi..

Jab jab teri yaad aati hai
Dil maayush sa ho jata hai
Aankhein kuch nam ho jati hain
Kambakht dil bhool nahain pata hai

Aur man ye kah uthata hai..
Tu aayi to kyon aayi
Jab tujhe jana hi tha

Dard dil ka kyon diya
Jab marham lagana hi na tha..

Jab jab teri yaad aayi.....

Wednesday, February 18, 2009

Laut Ke Aayenge...

Ehsaas Bahut Hoga Jab Chodh Ke Jayngane,
Roenge Bahut Magar Aansoo Nahi Aayenge,
Jab Saath Koi Na De To Awaz Hame Dena,
Aasma Par Honge To Bhi Laut Ke Aayenge

Chupana Parta Hai

Is bedard zamaane se har gam chupana padta hai
Zakhm hazaaron ho dil pe fir bhi muskurana padta hai.

Tuesday, February 17, 2009

Haseen

Duniya mein hasin aur bhi hain maula,
Par jab usne apna ghoonghat khola,
To chand bhi sharma ke bola,
Ye raat ki chandni hai ya din ka shola

Jab bhi khyal aaya..

Jab bhi khyal aya to apka aya,
Aankhein band ki to khwab apka aya,
Socha kar loon yaad khuda ko pal do pal,
Par jab hoth khule bhi to naam apka aya.

Monday, February 16, 2009

Koi tut sa gaya hai....

Bahut udas hai koi tere jane se,
Ho sake to laut ke aa kisi bahane se,
Tu laakh khafa sahi magar ek bar to dekh,
Koi toot sa gaya hai tere ruth jane se

Uski kami hai

Kuch bikhre sapne aur aankhou mai nami hai,
Ek chhotasa aasma aur umido ki zami hai,
Yuto bahut kuch hai zindagi mein,
Sirf jise chahtehe hai uski kami hai………

Nazar ka dhokha tha

Chhu liya aakar kisi ne shayad wo hawa ka jhoka tha
Har ahat par doud pada main shyad wo nazar ka dhokha tha

Har ilzaam apne sar

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Jaate jaate

Jaate Jaate woh koi aachi nishani de gaye,
Umar bhar duhra saku aisi kahani de gaye,
Hum to reh gaye pyaase,
Par humari palko ko woh pani de gaye…